Saturday, October 16, 2021

Dard

Dard

by Siyaah.

Main dard mein hoon

Tumhare milne ke

Na milne ke

Main dard mein hoon

Tumhare

Apne

Main dard mein hoon

Khushion ke

Gham ke

Main dard mein hoon

Main dard mein hoon.

Friday, October 15, 2021

Kahf-e-Siyaah

Kahf-e-Siyaah

by Siyaah.

Jawaab jab ho ga likhunga,
Abhi to gum hoon sawaalon mein. 

Kyun khafaa ho ke tumse mukhatib nahin,
Main likhtaa to hoon risaalon mein.[2]

Mujhe mohabbat kabhi raas na aayi,
Aur na tum miley itney saalon mein.

Saans to main bhi le rahaa hoon yahaan,
Naam likh lo jeeney-waalon mein. 

Wahi jaega phir tumhey chhord ke,
Jo baandhey hai qasmon ke jaalon mein.

Ye duniya bhool jaayegi humein,
Yaad rakhegi chund misaalon mein.

Mujhe kyun kheench laye yahaan,
Khush tha main apne khayaalon mein.

Koi kahf-e-Siyaah hi mayassar ho,
Dum nikalta hai in ujaalon mein. [8]

[2] risaalon: plural of risaala, traditionally could mean essay, treatise, book etc., commonly in Urdu refers to magazines/journals...and by extension today could mean blogs and such online spaces. 
[8] kahf: cave; in spiritual traditions refers to the cave where the (seven) sleepers retreated, hidden and protected from a dysfunctional world where they were misfits i.e.  https://en.wikipedia.org/wiki/Seven_Sleepers

Note: this one has been 'in development' for long... and still without a matla.