Tuesday, November 28, 2006

Aitraaf: Confession

Aitraaf: Confession
[By Majaaz]

Ab mere paas tum aayee ho to kya aayi ho
Maine maana ke tum ek paikar-e-raanaai ho
Chaman-e-dahr mein rooh-e-chaman-aaraai ho
Talat-e-mahr ho, firdaus ki barnaayi ho
Bint-e-mahtaab ho, gardoon se utar aayi ho

Mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai
Maine khud apne kiye ki ye sazaa paayi hai

Un dinon mujh pe qayamat ka junoon taari tha
Sar pe sarshaari-o-ishrat ka junoon taari tha
Maahpaaron se mohabbat ka junoon taari tha
Shahryaaron se raqaabat ka junoon taari tha

Bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi duniya meri
Ek rangeen-o-haseen khwaab thi duniya meri

Kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
Meri faryaad-e-jigar-doz, mera naala-e-zaar
Shiddat-e-karb mein doobi hui meri guftaar
Main ke khud apne mazaaq-e-tarab-aageen ka shikaar

Wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahaan se laaun
Ab main wo jazba-e-maasoom kahaan se laaun


Asraar-ul-haq Majaaz (1911-1955) was born in Rudauli, Barabanki, near Lucknow in Uttar Pradesh. His poetic talent was noticeable even during his school days in Lucknow, where he befriended and was counseled by Jazbi. His college years were spent in Agra and Aligarh. Majaaz's later life is a subject of intrigue...depression and alcoholism played a major role in his premature death. He excelled in beautiful yet poignant expression, often centered around themes of unrequited love.

The above nazm is one of his most well known works...although the entire nazm is longer, I will attempt to translate the above parts. Jagjit has done some justice to it.

10 comments:

Tapasya said...

Wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahaan se laaun
Ab main wo jazba-e-maasoom kahaan se laaun


Wonderful lines! Thanks for sharing the nazm. Is a bit heavy on vocabulary though. Im eagerly waiting for the translation.

Phoenix said...

i second tapasya's comment entirely.

Vik said...

Me too! Can't understand much, and wud wait for translation.

editor said...

this is a majaz classic undoubtedly...yesterday met a guy, whose house is adjacent to Majaz' house in Rudauli...
meanwhile, it took 56 years for lucknowites to give the due respect to the most 'laaDla shaa'er ' of urdu poetry and named an important road after him. And that is not enough...

ab iske baad sub'h hai aur sub'he-e-nau majaz
ham par hai khatm shaam-e-ghareeban-e-lucknow

Siyaah said...

It is certainly heavy on vocabulary...several persianized expressions, yet the beauty comes through.

Yes, Majaaz and also his contemporaries have suddenly become unknowns...part of the reason I'm motivated to translate is to make them accessible to those who have a wonderful poetic sensibility and can appreciate them, yet lack the access to begin with...

Well, the translation's up there now...thanks for the wait!

Sadia said...

lovely poem. have read it earlier, but then its always a pleasure to re-read any nice piece :)

Anonymous said...

can someone tell me where i can find the translatio nof this beautful nazm?

Vishesh said...

took a long time to got these meanings...

shaheryaron : princes/lords
raqaabat : animosity
bistar-e-makhmal-o-sanjaab : bed of velvet and fur
majhruuh : wounded
Jigar-doz : Heart Piercing
naalaa-e-zaar : continuous tears
shiddat-e-karb : intensity of grief
guftar : conversation
gudaaz-e-dil : softness / gentleness of the heart
Marhoom : Dead
Paikar-e-raanai : Beautiful face
Chaman-e-dehr : Garden of the world
Rooh-e-chaman aarai : Soul of an adorned garden
Talat-e-mihr : Face of the sun
Firdaus : Heaven
Barnaai: Youth
Bint-e-mahtab : Daughter of the moon
Gardoon : Sky
Taari : Overpowered/subdued
Sarshaari : Drunkenness
Ishrat : Entertainment
Maahpaara : Lovely piece of the moon

Vishesh said...

Ab mere paas tum aayee ho to kya aayee ho
maine maana ki tum ek paikar-e-ranaai ho

chaman-e-dehar mein ru-e-chaman aaraai ho
talat-e-mehar ho, firdaus ki barnaai ho
bint-e-mehtaab ho, gardu’n se utar aayee ho
mujhse milne mein ab andesha-e-ruswaai hai
maine khud apne kiye ki ye sazaa paaee hai

khaak mein aah milaaee hai jawaani maine
shola-zaaro’n mein jalaai hai jawaani maine
shehar-e-khoobaa’n mein ganwaai hai jawaani maine
khwaab-gaaho’n mein ganwaai hai jawaani maine

husn ne jab bhi inaayat ki nazar daali hai
mere paimaan-e-mohabbat ne sipar daali hai

unn dino’n mujh pe qayaamat ka junoo’n taari tha
sar pe sarshari-o-ishrat ka junoo’n taari tha
maah-paaro’n se mohabbat ka junoo’n taari tha
sheharyaaro’n se raqaabat ka junoo’n taari tha

ek bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi duniya meri
ek rangeen-o-hansi khwaab thi duniya meri

kya sunogi meri majrooh jawaani ki pukaar
meri fariyaad-e-jigardoz mera naala-e-zaar
shiddat-e-qarb mein doobi huee meri guftaar
main ke khud apne mazaak-e-tarab aagee’n ka shikaar

wo gudaaz-e-dil-e-marhoom kahaan se laau’n
ab main wo jazba-e-masoom kahaan se laau’n

Waris Ali said...

Great ☺️ work thanks for the translations great effort