Tuesday, December 07, 2021

Main Apne Saath Hun

Main Apne Saath Hun

[by Siyaah]


Main apne saath hun

main apni baatein samajhta hun

apni ghaltiyon pe ghaur karta hun

haath pakad ke khud ko 

uthata hun

dilaasa dilaata hun

kuchh kehta hun

kuchh sunta hun

ro leta hun

hans deta hun

kabhi ghumney jaata hun 

kabhi duur nikal jaata hun

kabhi kho jaata hun

khud ko dhundh kar phir waapas laata hun

kahaniyon mei uljhaata hun

phir sab khayaal suljhaata hun

so jaata hun

jag jaata hun 

raat bhar ke khwab yaad karta hun

bhool jaata hun.


Main apne saath hun

main aksar haar jaata hun

purani jeet aur haar yaad karta hun

phir wahi sab dohraata hun

khud ko samjhane ke liye sab likhtaa hun

mitaata hun

behel jaata hun

kitaabon mei kho jaata hun

un kirdaaron ki daastanon se

kuchh naya laata hun

puraney se milwaata hun

nayi dhunein 

puraney khud ko sunwaata hun

main ab kya hun shaayad main bhi nahi jaanta hun

kabhi to khud ko nahi pehchanta hun

jaisa bhi hun

jo bhi hun

Main apne saath hun. 


Bohot ehtiyaat se khud ko

duniya se milwaata hun

ghabra jaata hun

thak jaata hun

bikhar jaata hun 

bas bachh jaata hun

Main apne saath hun.


Log itne logon se

itna kyun milte hain

kya baatein karte hain

kya chahte hain

samajh nahi paata hun

shayad ye log apne saath nahi rehte 

khair, mujhe kya

Main apne saath hun

aksar in logon ke beech

aksar in logon se duur

Main apne saath hun. 


Duur se raah pe dekhta hun

kuchh log ek group mei hain

koi ek jo tanhaa dikhta tha

nazdeek kisi se phone pe hai 

main kyun kisi group mei nahi

main kyun kisi ke nazdeek nahi

kya is liye, ke

Main apne saath hun.


Jahan tak main jaata hun 

jahan se laut aata hun 

wahan to koi aur nahi 

faqat-

Main apne saath hun.


Sach to ye hai ke ab 

na tum ho aur na koi aur

bas itne saalon se main hun

Main apne saath hun.







No comments: