Aap se nazar milaa lete hum
Zindagi ko bachaa lete hum
Aap taaroof zaraa bhi karte
Kuchh to apna pataa dete hum
Zindagi talkh hui, aakhir kab tak
Ek yaad-e-shirin ka mazaa lete hum
Gham-e-duniya ke liye waqt kahan
Khud se itne pareshaan rehte hum
Aaj shaayar hain to keh lene do
Kal sochenge kya na kehte hum
Rang har ek tha wahaan aakhir
Kab tak wafaa-e-Siyaah sehte hum
-----
Taaroof: introduction (especially formal, polite), formality
Talkh: bitter
Shirin: sweet
A work in progress...[by Siyaah]