Thursday, August 23, 2007

Is Dard Se...

Is dard se nejaat paaun to kaise
Waapas ab us duniya mein jaaun to kaise... [1]

Abhi tak tumhaara khwaab meri aankhon mein hai
Main apna sab kuchh chhorh jaaun to kaise...

Main khush hoon bohot, pareshaan hoon bohot
Apni haalat tumhein samjhaaun to kaise...

Main kuchh bhi sochun tum aa jaate ho khayaalon mein
Khayaalon ke is jaal ko ab suljhaaun to kaise...

Tumhi the chaand, tumhi suraj, tumhi taaron ka falak
Din raat main ab apne bachaaun to kaise... [5]

Tum aaye the to yaad aaya tha ke zindaa hoon main
Ab zindagi ke mai'ne phir se bhulaaun to kaise...

Khushiyon ki horh mein hai har koi mubtelaa
Kamzarfon ko gham apne dikhaaun to kaise... [7]

Lo kehne laga phir se kuchh sher Siyaah
Ab hosh mein main aaun to kaise... [8]

[by Siyaah]


[1]nejaat: escape, to become free of (especially hardships)
[5]falak: celestial sphere, sky, also used for orbit, which gives this couplet a nice touch with reference to day and night in the second verse
[7]mubtelaa: deeply involved, especially in misfortune, misery, difficulties...thus bringing out the irony here with 'khushiyon ki...'
kamzarf: literally, those with less wit, capability, elegance, beauty
[8] Siyaah is used here as a takhallus, and could also be read as a characteristic of the sher...both interpretations connect to the last verse.