Friday, March 22, 2013

Tukde (Pieces)

Main toot taa hi chalaa gayaa
Shab-e-furqat se aaj tak samjho
Bas bikhartaa hi chalaa gayaa
Kyaa baaqi hai ab ye bhi hosh nahi
Hosh hi meraa kaanch ki tarah
Bikhar chukaa saal-dar-saal kab kaa
Ab kaise is behoshi mei
Hosh ke toote bikhre tukde jodun

Kaise ab har ek pal mei waapas jaaun
Kaise kaanch ke har ek tukde ko uthaun
Har ek tukdaa ab to bas kaat hi saktaa hai jigar
Ab in tukdon se dard hi mil saktaa hai shaayad
Jod kar kuchh banaayaa nahi jaa saktaa phir se
Mujhe hosh mei laayaa nahi jaa saktaa phir se
Ek shiddat-e-dard tha tootnaa bikharnaa
Kaun seh paayega bhalaa inhe jodne ke dard ki shiddat.


[by Siyaah.

The stream-of-consciousness style continues...with the unexpected, sudden burst of feelings, thoughts, words that find their own sequence...that surprises even one who is penning them...]

Sunday, March 10, 2013

Adhoori


Main ne chhord hi din wo kahaanian jo adhoori reh gayin kahin;
Naye des mein, naye saf pe ab, naye qarz likhna shuru karein...

[By Siyaah. 
From some years ago - meant to write a full ghazal but somehow never moved beyond these two lines]