Friday, September 14, 2018

Maatam

Maatam

by Siyaah.

Naa khushi aur naa gham mein hoon,
Main ab bohot hi kam mein hoon. [1]

Safar-e-sahraa pataa hi nahin chal rahaa,
Main shayad us-hi chasm-e-nam mein hoon. [2]

Usko jaana tha waqai kisi kaam se,
Main aaj tak is waham mein hoon. [3]

Hai khizaan mein bahaar aaj kal mere ghar,
Main kisi ki aamad ke mausam mein hoon. [4]

Dil dhadak-ne lagaa, saans rukne lagi,
Main gunahgaar kiske haram mein hoon. [5]

Tum se keh doon haqiqat agar sun sako,
Main ab dum nikalne ke aalam mein hoon. [6]

Kaun afsos mei hai kisi-ke yahaan,
Siyaah khud hi ke maatam mein hoon. [7]

====
[2] safar-e-sahraa: travel of the desert. chasm-e-nam: moist eye
[4] khizaan: autumn. aamad: expected arrival
[5] haram: home/enclosure
[7] maatam: mourning, grief