Main Apne Saath Hun
[by Siyaah]
Main apne saath hun
main apni baatein samajhta hun
apni ghaltiyon pe ghaur karta hun
haath pakad ke khud ko
uthata hun
dilaasa dilaata hun
kuchh kehta hun
kuchh sunta hun
ro leta hun
hans deta hun
kabhi ghumney jaata hun
kabhi duur nikal jaata hun
kabhi kho jaata hun
khud ko dhundh kar phir waapas laata hun
kahaniyon mei uljhaata hun
phir sab khayaal suljhaata hun
so jaata hun
jag jaata hun
raat bhar ke khwab yaad karta hun
bhool jaata hun.
Main apne saath hun
main aksar haar jaata hun
purani jeet aur haar yaad karta hun
phir wahi sab dohraata hun
khud ko samjhane ke liye sab likhtaa hun
mitaata hun
behel jaata hun
kitaabon mei kho jaata hun
un kirdaaron ki daastanon se
kuchh naya laata hun
puraney se milwaata hun
nayi dhunein
puraney khud ko sunwaata hun
main ab kya hun shaayad main bhi nahi jaanta hun
kabhi to khud ko nahi pehchanta hun
jaisa bhi hun
jo bhi hun
Main apne saath hun.
Bohot ehtiyaat se khud ko
duniya se milwaata hun
ghabra jaata hun
thak jaata hun
bikhar jaata hun
bas bachh jaata hun
Main apne saath hun.
Log itne logon se
itna kyun milte hain
kya baatein karte hain
kya chahte hain
samajh nahi paata hun
shayad ye log apne saath nahi rehte
khair, mujhe kya
Main apne saath hun
aksar in logon ke beech
aksar in logon se duur
Main apne saath hun.
Duur se raah pe dekhta hun
kuchh log ek group mei hain
koi ek jo tanhaa dikhta tha
nazdeek kisi se phone pe hai
main kyun kisi group mei nahi
main kyun kisi ke nazdeek nahi
kya is liye, ke
Main apne saath hun.
Jahan tak main jaata hun
jahan se laut aata hun
wahan to koi aur nahi
faqat-
Main apne saath hun.
Sach to ye hai ke ab
na tum ho aur na koi aur
bas itne saalon se main hun
Main apne saath hun.
No comments:
Post a Comment