Saturday, August 20, 2011

Naseeb

Tere dard mein bhi qareeb nahi,
Aaj itna bhi naseeb nahi.

[by Siyaah]

Wednesday, August 03, 2011

Ek hi Siyaahi

Wahi kehne lage deewaana jab se
Kya shikwa kare koi baaqi sab se

Hai kaisi wafaa ye aakhir tujhse
Hun bewafaa jaise duniya se jab se

Barson mein tumhe dekha to samjha
Kis toofaan ko tha thaame kab se

Kya maangun aakhir ab tujhse
Wo chand din hi geraan hain kab se
[geraan=heavy]

Aaj tumhe sach bola to laga yun
Sab jhooth tha umr bhar baaqi sab se

Koi manzil hi humein raas na aayi
Tum raah mein saath rahe na jab se

Har taabeer adhoori hi lagi
Tum hi khwaab the awwal sab se

Har dard mein yaad tumhi kyun aaye
Zakhm tum hi the gehre sab se

Ye kaisi tishnagi tere liye thi
Barhdti hi jaae mile ho jab se

Hai zyaada khushi ke aaj mile hain
Ya ghum ke bichhde hain hum kab se

Sab de dun tujh ko waapas le lun
Kaise karun ye sauda rab se

Roz tumhe socha to nahi par
Sab ghum aur khushi hain tere kab se

Ab phir se kya maangun main rab se
Tum to mere hi rahe ho tab se

Koi dard hi baaqi nahi daaman mein
Wo ghar waapas aaye hain jab se

Hai gunaah to kyun sohbat mein teri
Raabta bardhta jae hai rab se

Sab ek hi Siyaahi se likh daale
Aaghaaz-e-ashaar hua tumse jab se.


[By Siyaah]