Thursday, December 29, 2011

Saiyaara

Main akelaa hoon
Tumhaari yaadon mei akelaa hoon
Kis taraf chaloon
Ek taraf safed phoolon si bikhri tumhaari muskuraahatein
Jaise meelon door tak safed chaadarein
Aur is taraf tumhaare haath ki narmi
Badhte badhte ek baagh ban chuki hai
Hazaaron darakht hain, phalon se lade
Kya kho jaun in mei jaa kar
Ya udhar bhi ho lun
Tumhaari aakhon ki jheelon mei
Jinme duniyaa dikhai deti hai
Neele khule aasmaan
Aur meri zindagi
Dono ke aks hain wahaan
Tar hain jheelen phir kyun aaj
Kuchh der ruk hi letaa hoon udhar
Kuchh tishnagi mitaa letaa hoon
Pataa nahi wahaan se kab niklungaa
Idhar to kya kuchh baaqi hai abhi
Dard mei bhare wo raat din
Jab tum the hi nahi
Bin bataaye chale gaye the kahin
Unki bhi to yaadein hain
Kaanton bharaa ek bayaabaan
Dartaa hoon aaj bhi unse
Par jaana padta hai kabhi in mei bhi
Aakhir tumhaari hi to yaadein hain...

Hoton ki to baat na puchho
Jaise jumbish karte pyaare parindey
Kabhi baithen kabhi ud jaayen
Mujhe dekhte hi rehte hain
Main hiloon to ye hil jaate hain
Thodaa ghabraa ke paas aate hain
Ab bhi nahi jaante
Meraa hi chaman hai inkaa ghar
Kyun hijraton ko jaate hain
Inki ek ek chehchahaahat
Mausiqi ban ke goonjti rehti hai yahan kab tak...

Kya kuchh hai aur kya batlaun
Kuchh dekhaa, kuchh to maine bhi dekhaa nahi hai
Zulfon ke ghane andhere behte dariyaa
Kho jaane ko
Jabeenon ke maahtaab
Raah dikhaane ko
Til aise
Khatarnaak raahon pe sandeson jaise
Yahin ruk jaao
Aage mat jaana
Par aur mujhe bhadkaate hi hain
Un raaston pe kheench le jaate hi hain
Jahaan ki khaak bhi lage hai aise
Bikhre laale kabhi bhi khilne waale
Gulistaan hi gulistaan ta-hadd-e-nazar
Surkh phoolon se lade
Koi aur hi saiyaara hai shaayad
Yahaan to saanson ki raftaar hi alag hai...

Main kitnaa khush hoon in yaadon mei
In phoolon jheelon aur bayabaanon mei
Mujhe dhoondh lenaa jab bhi waapas aao
Main kahin nahi gayaa hoon aaj tak
Inhi mei kahin khoyaa hua milungaa
Kisi jheel kinaare baagh mei letaa
Parindon mei soyaa hua milungaa
Aa jao to jagaa denaa
Tab tak to nahi kuchh duniyaa mei meri
Is laayaq ke is jannat se niklun.


[By Siyaah]

----
Meanings
Tishnagi: thirst
Bayaabaan: wilderness
Hijraton: plural of hijrat, hijr = migration
Mausiqi: music
Jabeenon: plural of jabeen = forehead
Maahtaab: moon
Khaak: dust
Laale: tulips, in South Asia also refers to red poppy flowers
Gulistaan: flower garden
Ta-hadd-e-nazar: as far as the eye can see
Saiyaara: planet
Raftaar: speed
Jannat: garden, by implication means paradise