Mere ghum hi bas ab mere hain,
Khushiaan auron mein baant din maine.
[by Siyaah]
Thursday, October 17, 2013
Tuesday, October 08, 2013
Wahin...kahin nahin...
Wahin ka wahin hun,
Aur kahin nahin hun.
[by Siyaah]
[how many interpretations possible for these two seemingly simple lines...?]
Aur kahin nahin hun.
[by Siyaah]
[how many interpretations possible for these two seemingly simple lines...?]
Thursday, September 12, 2013
Ab yahi...
Ab yahi tay hua ke hum tujhse qareebtar nahi,
Aaj tere takallufaat dil pe geraan guzar gaye.
Jaun Alia.
Aaj tere takallufaat dil pe geraan guzar gaye.
Jaun Alia.
Wednesday, July 31, 2013
Tere Waade
Tere waadon se lagtaa hai ke tu bhool jaaega,
Teri baaton se lagtaa hai mujhko yaad aaega.
Teri ahd-e-wafaa mujhko bohot aziz hai lekin,
Main uski sochtaa hoon jo tere baad aaega.
by Siyaah, a qita...somewhat in the tarz of Waseem Barelvi who I had the pleasure to meet last year.
Blogger tells me this is my 100th post...how apt.

Monday, July 01, 2013
There are times...
There are times
when you look up
and down
and around
and cry
Then you laugh
and pray
and smile
and die.
[by Black. From long ago...]
when you look up
and down
and around
and cry
Then you laugh
and pray
and smile
and die.
[by Black. From long ago...]
Thursday, May 30, 2013
Friday, March 22, 2013
Tukde (Pieces)
Main toot taa hi chalaa gayaa
Shab-e-furqat se aaj tak samjho
Bas bikhartaa hi chalaa gayaa
Kyaa baaqi hai ab ye bhi hosh nahi
Hosh hi meraa kaanch ki tarah
Bikhar chukaa saal-dar-saal kab kaa
Ab kaise is behoshi mei
Hosh ke toote bikhre tukde jodun
Kaise ab har ek pal mei waapas jaaun
Kaise kaanch ke har ek tukde ko uthaun
Har ek tukdaa ab to bas kaat hi saktaa hai jigar
Ab in tukdon se dard hi mil saktaa hai shaayad
Jod kar kuchh banaayaa nahi jaa saktaa phir se
Mujhe hosh mei laayaa nahi jaa saktaa phir se
Ek shiddat-e-dard tha tootnaa bikharnaa
Kaun seh paayega bhalaa inhe jodne ke dard ki shiddat.
[by Siyaah.
The stream-of-consciousness style continues...with the unexpected, sudden burst of feelings, thoughts, words that find their own sequence...that surprises even one who is penning them...]

Sunday, March 10, 2013
Adhoori
Main ne chhord hi din wo kahaanian jo adhoori reh gayin kahin;
Naye des mein, naye saf pe ab, naye qarz likhna shuru karein...
Naye des mein, naye saf pe ab, naye qarz likhna shuru karein...
[By Siyaah.
From some years ago - meant to write a full ghazal but somehow never moved beyond these two lines]
Subscribe to:
Posts (Atom)