Tuesday, September 19, 2006

Ae Junoon Kuchh To Khule: O Frenzy

Ae junoon kuchh to khule aakhir main kis manzil mein hoon
Hoon jawaar-e-yaar mein ya koocha-e-qaatil mein hoon.[1]

Paabajola apne shaanon par liye apni saleeb,
Main safeer-e-haq hoon lekin nargha-e-baatil mein hoon. [2]

Jashn-e-fardaa ke tasavvur se lahoo gardish mein hai,
Haal mein hoon aur zinda apne mustaqbil mein hoon. [3]

Dum bakhud hoon ab sare maqtal ye manzar dekh kar,
Main ke khud maqtool hoon lekin saf-e-qaatil mein hoon. [4]

Ek zamaana ho gaya bichhre hue jis se Suroor,
Aaj usi ke saamne hoon aur bhari mehfil mein hoon.

---
[1] jawaar-e-yaar: in neighborhood of / under protection of friend or lover.
koocha-e-qaatil: residence of killer

[2] shaanon: shoulders; saleeb: crucifix / cross
safeer-e-haq: ambassador of righteousness / truth
nargha-e-baatil: nargha: assembly / rank / circle formed by hunters for enclosing game. baatil: falsehood / evil

[3] jashn-e-fardaa: celebration of tomorrow / day of resurrection
tassavvur: imagination; lahoo: blood; gardish: circulation
haal: present; mustaqbil: future

[4] dum bakhud: without breath; maqtal: place of slaughter / execution
maqtool: executed person; saf-e-qaatil: assembly / rank of killer


Listen to the poet himself, Suroor Barabankvi (1930-1980), reciting this ghazal in a live mushairaa with accompanying applause (click the last link on the page).

I'll atttempt to render the entire ghazal in English verse soon...

No comments: